Arrey, sunn rahe ho, kya?
Haan, woh Pink Floyd ka gaana, Division Bell ke album mei hai na, woh sunn raha huun.
Tum aur tumhaara Pink Floyd, ha!
Ab tuu mujhe tum bulane lagi hai kya?
Jab bhi Raj kuch bolte hain toh aap tum ban jaate ho!
Ab Raj ne bola ki woh uske mama ke decision se sehmath nahi hai, aur who ninda karta hai ki who aur unke puttar, Udhav, uss Khan ke peeche lage hain. Aur uske bad unhone ek gaana gun-gunaaya.
Gaana?Kunsa gaana meri dharm-patni?
Arrey, who koi angrezi gaana tha..ek minute abhi aati huun!
Jaldi karo, mujhe ek-numbri karni hai.
He,he, jab bhi mai Raj ka naam leti huun tumko ek-numbri aa jaati hai!
Arrey woh gaane ka naam, ‘Coming Back to Life’ hai
Arrey woh waala…’Where were you, when I was hurt and broken?…..from my window watching. Where were you when I was hurt and helpless? The things you said and the things you do surround me, while you were hanging yourself on someone else’s words, dying to believe what you heard, I was staring straight into the shining sun…’
Arrey, yehi gaana toh mai sunn raha thaa!
Toh uska matlab Raj ko gore log ka gaana pasand hai? Mai mar gayi, maine toh samjha woh toh pucca marathi manoos hai aur sirf marathi gaane hi suntaa hai.
Arrey, tu aur tera Raj sahib. Paagal hai tuu unke baatoun ko believe karti hai jo. Rajniti mei sab koi kuch na kuch bolte hain aur aam aadmi ko ullu banate hain. Maloom hai tujhe ki Raj apne school-days mei guitar bajaya karta thaa aur lambe, lambe baal bhi rakta thaa.
Bada cute lagta thaa kya?
Cute nahi, lagta toh aise jaise ki uske mama ne neem ka ras pilaya ho aur sab ladkiyaan usse darti thi.
Accha? Aur tum ladke log?
Hum toh bahut masti karte thei, lekin who Raj na, bada bhaav karta tha.
Masti? Ladkiyoun ke saath? Tumne toh suhaag raat ke time pe bola ki tumhaari koi gurrlphrend nahi thi.
Arrey, ye kya? Maine kab bola ki mere paas gurrlphrend thi. Masti maine awaaragiri nahi, masteroun ko ullu banana aur flash strike karma, ityaadi, ityaadi. Uss Raj ko mooh band karma chahiye. Dekho kahaan se kahaan pahunch gayi tum. Mere life mei koi Smita wagaira nahi thi. Sunn lo!
Ab, kyuun uske mama ke peeche lage ho, ji?
Tumne who poora gaana suna hai kya?
Nahi, ji sunao toh?
Udhav presses the play button and listens to David Gilmour and his wailing guitars in the Division Bell.
